Fallen

Muhammad Malik

Rakam Karen ge tareekh aur ye dastaan
Tanha thay chale par banega
Ye karawan

Zindagi mein Thora sa mein surr leke aya
Pora apnay khaabon ko ha karke dikhaya
Ab ye par mere Janan katay na kattay
Mere hunr ne ghairon ko ha apna banaya
Roshni se pehl kali raaten hon ge
Tafreek ki wajah nasal aur jaaten hon ge
Sitaron ka ilm mujhay maloom nai par
waoween mein sari meri baten hon ge
Let it go meri voice zyada week nai
Let me know mere bars mein kya heat nai
Let me listen ibn e adam ki dhun ye
Na Banda e kamal na hun mein azazeel koi
Tagri koi deal nai mujhay dene ko tere pass
Porana hun khilari aam shehr feel khaas
I feel nas In baton ka Nishana dil ha
Ayen raas ye alfaaz to Phir gana kill ha

Rakam Karen ge tareekh aur ye dastaan
Tanha thay chale par banega
Ye karawan

Wo andhera likhai aur ek cup chai
Zindagi ki qeemat hamen samajh hi na ayi
Afsurda musafir aur shahrah e mosiki
Kese likhon ganon mein Jo thi hamne betai
Boulevard of broken dream
Kese subh ko jeelen ham tor kar neend
Ye azeeyaten azmaishen gawah hen missal bhi
Anginat hassraton ki hoti koi lagam nai
Mukaam nai bina mehnat koi mukaam nai
Koshish ko meri ye kehte kismat kamal bhai
Hairat is soch pe jo tole is junoon ko
Kese rokon roti izzat Jism ki bhook ko
Thook do ye khoon mera sabz hilali
Apne riyasat k Jo dilwatay parcham ko Gali
Tareek gawah ek hath se nai bajti ha taali
Dikhaway dilnasheen aur dilon ki surat ha kali

Rakam Karen ge tareekh aur ye dastaan
Tanha thay chale par banega
Ye karawan

Beliebteste Lieder von mmm(cv.佐藤拓也、cv.白井悠介、cv.土岐隼一)

Andere Künstler von Electro rock