Tere Liye
Tere liye khudko badal dein
Tere liye kuch bhi kar dein
Vaada hai tujhse mera
Ab sada ke liye
Tere liye saansein le rahein
Tere liye har din jee rahein
Tu hai mera, main hoon tera
Ab sada ke liye
Khud pe koi haq raha na humara
Tere liye hum hain jiye
Phir ab na hoga ye ishq dobara
Tere liye hum hain jiye
Tu hai mera main hoon tera sahara
Tere liye hum hain jiye, ooh
Marke bhi de dunga ye kaffara
Tere liye hum hain jiye
Oh, tere liye hum hain jiye
Jism ka nahi tera mera rishta
Roohon ka ye rishta hai
Koi dekhe jab surat meri
Toh dikhe tera chehra hai
Tu panaah meri, main saaya tera
Tu makaan mera, main basera tera
Tu manzil meri, main musafir tera
Tujhpe hi main aake ruka
Khud pe koi haq raha na humara
Tere liye hum hain jiye
Phir ab na hoga ye ishq dobara
Tere liye hum hain jiye
Tu hai mera main hoon tera sahara
Tere liye hum hain jiye, ooh
Marke bhi de dunga ye kaffara
Tere liye hum hain jiye
Ik din ye umr dhal jaayegi
Zindagi poori ho jaayegi
Tab bhi tu rehna paas yun mere
Jab dil ki dhadkan tham jaayegi
Teri baahon mein dum
Nikle mera sanam
Hai bas ab yehi aakhiri duaa
Khud pe koi haq raha na humara
Tere liye hum hain jiye
Phir ab na hoga ye ishq dobara
Tere liye hum hain jiye
Tu hai mera main hoon tera sahara
Tere liye hum hain jiye, ooh
Marke bhi de dunga ye kaffara
Tere liye hum hain jiye
Oh tere liye hum hain jiye