Aulad Walo Phulo Phalo
Kar de madad garib kee teraa sukhee rahe sansar
bachho kee kilkaree se gunje sara gharbar
aulad walo phulo phalo
bhukhe garib kee yeh hee duwa hai
aulad walo
paise do paise se tumhara kuchh na ghatega daulat walo
le lo duwaye nirdhan kee dhan aur badhega daulat walo
usiko mila hai jag me jisne diya hai
aulad walo
jug jug jiye teraa lal, rahe kushhal sada teraa nam karega
har pal jay jaykar kare sansar yeh aisa nam karega
bhalayee ka badla bhalayee mila hai
bhukhe garib kee
aulad walo
dhanya hai woh insan kare kurban jo dil kee saree kushiya
apne ghar ka dipak de kar roshan kar de kisee kee duniya
woh insan nahee hai ik devta hai
aulad walo