Tere Sang Yaara

tere sang yaara
khush rang bahara
tu raat deewani
main zard sitara

o karam khudaya hai
tujhe mujhse milaya hai
tujhpe marke hi toh
mujhe jeena aaya hai

o tere sang yaara
khushrang bahara
tu raat deewani
main zard sitara

o tere sang yaara
khushrang bahara
main tera ho jaun
jo tu karde ishara

kahi kisi bhi gali mein jaaun main
teri khushbu se takraun main
har raat jo aata hai mujhe
woh khwab tu

tera mera milna dastoor hai
tere hone se mujhme noor hai
main hoon soona sa ek aasmaan
mehtaab tu

o karam khudaya hai
tujhe maine jo paaya hai
tujhpe marke hi toh
mujhe jeena aaya hai

o tere sang yaara
khush rang bahara
tu raat deewani
main zard sitara

o tere sang yara
khush rang bahara
tere bin ab toh
na jeena ganvara

maine chhode hai baki saare rastein
bas aaya hun tere paas re
meri ankhon me tera naam hai
pehchaan le

sab kuch mere liye tere baad hai
sau baaton ki ik baat hai
main na jaunga kabhi tujhe chhod ke
yeh jaane le

o karam khudaya hai
tera pyaar jo paaya hai
tujhpe marke hi toh
mujhe jeena aaya hai

o tere sang yaara
khush rang bahara
tu raat deewani
main zard sitara

o tere sang yaara
khush rang bahara
main behta musafir
tu tehra kinara

Beliebteste Lieder von Atif Aslam

Andere Künstler von Folk