Aag

Dhruv Saxena

Mic pe aag,
DHS ke saath,
Meri baat maan,
Le tu gaath baandh,
Tera bhai vimaan,
Bharli udaan,
Koi bhed bhaav ni,
Sab ek samaan

Mic pe aag,
DHS ke saath,
Meri baat maan,
Le tu gaath baandh,
Tera bhai vimaan,
Bharli udaan,
Koi bhed bhaav ni,
Sab ek samaan

Mujko pta h mere sapno mein kya ,
Gairo ka kehna kya apne yaha,
Sb bole bhai tu bht sahi bht hard,
Mehnat kari h tbhi tkkr mein aaj.

Khoon se leke ha ashqo tk,
Kasam nahi khaata par likhta sach,
4 yaar baaju mein chle vo kheeche kash,
Scene sort h main sober no kashmakash.

Soch ko sochke sach main krdu,
Kisi ke jo nahi vhi bass mein krlu,
Success ko haasil h krna,
Paidal ka rasta ni to bus main krlu.

Sardi ke mausam mein garmi ka shauk h,
Hasi uski dekh ke narmi ka shauk h,
Saanpo se bhari yeh moh maaya,
Unhe pakad ke phaik dega bhai tera hawk h.

Bandagi mein jo bhi likhu main vo sach,
Jinhe trigger kre bole tu too much,
Jung hojayegi hone do aane do,
Alfaz ki talwar main, tu bach.

Nazar to uchi nazariya bhi kam nahi,
Mujko rokne ka mujme bhi dumm nahi,
Bhole ki rehmat se khada yaha,
Vishwas h chote khud pe ye ghamand nahi.

Har dum charged battery ni weak,
Dusro ko choddo zindgi deti h seekh,
Bheja tumhara bnadu kebab,
Ghusengi baate usme jaise ho seek.

Psnd nahi muje faaltu ki bakk bakk,
Ghadi sasti par keemti h har wakt,
Shambhu ka naam leke chlte h,
Pehchan meri h yeh bhai tera SHIV BHAKT.

Mic pe aag,
DHS ke saath,
Meri baat maan,
Le tu gaath baandh,
Tera bhai vimaan,
Bharli udaan,
Koi bhed bhaav ni,
Sab ek samaan

Mic pe aag,
DHS ke saath,
Meri baat maan,
Le tu gaath baandh,
Tera bhai vimaan,
Bharli udaan,
Koi bhed bhaav ni,
Sab ek samaan

Andere Künstler von Electronica