Lamhaaton

Abhishek Saxena

Mere saamnein
Un tasveeron se saji, ek deewar hai
Phir kyun
Mere mann ki mujse hi, takraar hai
Kyun ho gaye yeh faasley
Sawaalon se hai hum ghirey
Ki kyun huye hum is tarah alag
Ab shabd bhi feekay padein
Jaise ho gaye ho sarphirey
Ab khudse hum pucha yeh karein
Kyun anjaaney thhe hum unn saari baaton se
Kyun parey thhe hum apne jazbaaton se
Ab kaise yeh bataayein aur kin alfaazon se
Ki haan, bebas hue hum
In lamhaaton mein
Kyun tham gya hai ab
Ye waqt aur meri, dhadkanein
Tum kyun chale gaye
Kya itne zyada thhe, yeh faasle
Tum jahan bhi ho gaye
Hum ab dua bas yeh karein
Ki khush raho ab tum sada
Haan khush raho ab tum sada
Chaahe shabd bhi feekay padein
Chaahe ho jaaye hum sarphirey
Ab khudse hi hum pucha yeh karein
Kyun anjaane thhe hum unn saari baaton se
Kyun parey thhe hum apne jazbaaton se
Ab kaise yeh bataayein aur kin alfaazon se
Ki haan bebas huye hum
In lamhaaton mein
Haan in lamhaaton mein
In lamhaaton mein
Haan in lamhaaton mein

Andere Künstler von German rap