Saazish

Akshay Poojary, Prod. Rane

Dekho kya hai...
Keemat iss zindagi ki, jaaneja tu jaate jaa, mai shaamil hota mehfilo mai roz.
Teri baahon mai sukoon tha, tarasta mai aawara ab sharaab ne uda rakhe hai hosh.
Meri kismat ko dete sab kos, nasha mujhe lagti ab kokh.
Paida hota firse jab bhi khokla mai mann se, raas nahi aaye tera shor.
Bawandar hai mann mai, ghumta mai gol, berehem hai baatein tujhe mera na hai mol.
Shehnaiya hawaon mai jab 7 phere tujhse, yeh rishta tune aaj diya todd.
Wapas mai aata hu roz, mukarke bhi tu hi har roz.
Ab jab bhi mai chalta inn raahon pe haske sab kehte yeh tujhme madhosh.

Madhoshi ka aalam, na duniya mubarak,
Mai chor kuch palo ka bhukha,
Bas khushiya hai maangi, jaise maangi izzat,
Mil jaaye toh lagta ajooba.
Dil dooba par taira nahi,
Ghaav munasib par gehra nahi.
Uss darpan mai bhi kya ab dekhu,
Yeh jo mai hu chahta woh chehra nahi, tera chehra wohi.

Saazish ke saathi sabhi, yeah, chehro se waakhif nahi, yah.
Chithiyan gaano mai likhta hu aur tune jalaye sabhi, yah.
Tu na sune baatein meri, par mai tera malik nahi, yah.
Ashk samate nahi, tum milke bhi nazre milaate nahi, yah.

Milke bhi nazre na mili, hai chaahat sabhi ki par tu tha mera,
Mujhko khicha jaise sheesha, par tune toda nazuk dil yeh mera.
Ab tukdo mai jee raha, kuch bhi na poora, adhura hai jeena mera.
Paheli mai uljha, suljha de ab aake jo bhi tune chhina mera.
Taqdir ki hai saazish, aur mai uska shikaar.
Kiya na tha khayaal, kyu kar diya yeh kaam?
Moh na maaya, mausam sa na koi tha badlaav.
Mai aisa na insaan, kyu na mai le lu jaan?
Ab teri yaadon ko bhuladu, saari tasveerein mai chhupa lu,
Jaage thhe jitne armaan sabko nashe ke bahaane mai sula du.
Yaadon ka gehra samandar, bawandar banake ab khudko mai dooba lu.
Teri parchai ko khoju aur paane pe usme khudko mai chhupa lu.

Madhoshi ka aalam, na duniya mubarak,
Mai chor kuch palo ka bhukha,
Bas khushiya hai maangi, jaise maangi izzat,
Mil jaaye toh lagta ajooba.
Dil dooba par taira nahi,
Ghaav munasib par gehra nahi.
Uss darpan mai bhi kya ab dekhu,
Yeh jo mai hu chahta woh chehra nahi, tera chehra wohi.

Saazish ke saathi sabhi, yeah, chehro se waakhif nahi, yah.
Chithiyan gaano mai likhta hu aur tune jalaye sabhi, yah.
Tu na sune baatein meri, par mai tera malik nahi, yah.
Ashk samate nahi, tum milke bhi nazre milaate nahi, yah.

Wissenswertes über das Lied Saazish von GRAVITY

Wann wurde das Lied “Saazish” von GRAVITY veröffentlicht?
Das Lied Saazish wurde im Jahr 2021, auf dem Album “Walls Of Jericho” veröffentlicht.
Wer hat das Lied “Saazish” von GRAVITY komponiert?
Das Lied “Saazish” von GRAVITY wurde von Akshay Poojary, Prod. Rane komponiert.

Beliebteste Lieder von GRAVITY

Andere Künstler von Pop rock