Hindi Song Title: Mere Dushman Mere Bhai

Sannate ki gehri chhanv
Khaamoshi se jalte gaanv
Ye nadiyon par toote huey pul
Dharti ghaayal aur vyaakul
Ye khet gamon se jhulse huey
Ye khaali raste sehme huey
Ye maatam karta saara samaa
Ye jalte ghar ye kaala dhuaan
Ye jalte ghar ye kaala dhuaan
Hoho..

Hmmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum donon se ye jalte ghar kuchh kehte hain
Barbaadi ke saari manzar kuchh kehte hain
Hay..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Hoho...

Hmmm..
Baarood se bojhal saari fiza
Hai maut ki dhoop hai laati hava
Zakhmon pe hai chhaayi laachaari
Dariyon mein hai khilti beemaari
Ye marte bachche haathon mein
Ye maaon ka rone raaton mein
Murda basti murda hai nagar
Chehre patthar hain dil patthar
Chehre patthar hain dil patthar
Hoho..

Hmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum donon sun ye patthar ghar kuchh kehte hain
Barbaadi ke saari manzar kuchh kehte hain
Hay..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Hoho...

Hmmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Chehron ke dilon ke ye patthar ye jalte ghar
Barbaadi ke saare manzar sab mere nagar sab tere nagar
Ye kehte hain
Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar
Kab tak nafrat ka ye agrak
Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar
Hum apne apne kheton mein gehoon ki jagah chaawal ki jagah
Ye bandookein kyon bote hain
Jab donon hi ki galiyon mein kuchh bhookke bachche rote hain
Kuchhbhookhe bachche rote hain
Aa khaayein kasam
Ab jung nahin hone paaye
Aa khaayein kasam
Ab jung nahin hone paaye
Aur us din ka rasta dekhein
Jab khil uththay tera bhi chaman
Jab khil uththay mera bhi chaman
Tera bhi watan mera bhi watan
Mera bhi watan tera bhi watan
Tera bhi watan mere bhi watan

Hoho..
Mere dost mere bhai mere humsaaye
Mere dost mere bhai mere humsaaye
Hoho..
Hmmm..
Aaa...

Beliebteste Lieder von Hariharan

Andere Künstler von Film score