Baat Niklegi To

Bat niklegi to phir dur talak jayegi
Log bewaja udasi ka sabab pochhenge
Ye bhee pochenge ke tum itne pareshan kyo ho
Ongliyan uthenge sokhe huye balo ke taraf
Ek nazar dekhenge guzre huye salon ke taraf
Chodiyon par bhi kai tanz kiye jayenge
Kanpate hathon pe bhee fikre kase jayenge

Log zalim hai har ek bat ka tanaa denge
Baton baton mein mera zikr bhee le ayenge
Unke baton ka zara sa bhe asar mat lena
Warna chehre ke tasur se samajh jayenge
Chaahe kuchh bhi ho sawalat na karna unse
Mere bare me koi bat na karna unse
Bat niklegi to phir door talak jaayegi

Beliebteste Lieder von Jagjit Singh

Andere Künstler von World music