Do Sadiyon Ke Sangam

Do sadiyon ke sangam par milne aaye hain

Do sadiyon ke sangam par milne aaye hain - 2

Ek sadi ki shyaam jahan par ek sadi ka vahi savera
Samay na daale kahin bhi deraa

Ek samay lekin do sadiyaan, do sadiyaan - 2

Do sadiyon ke beech uthi - 2
Ehsaas ki ek deewar - 2

Is deewar ke peeche jaa ke - 2
Bhes badalta yeh samay - 2

Kya karta hai shringaar
Do sadiyon ke sangam par milne aaye hain - 2

Ek sadi ki shyaam jahan par ek sadi ka vahi savera
Samay na daale kahin bhi deraa

Ek samay lekin do sadiyaan, do sadiyaan - 2

Neele rang ke is daavan mein kitne sukun bhare lamhe hain
Neele neele rang mein rooh ke saare geet ghule hain

Surkhi jaise garam lahoon hai, chhalak sharaab hai surkhi
Surkhi taaza zakhm jaise khilta gulaab hai surkhi

Haan, jism mein behti saari surkhi, rooh ke saare neele nagme

Do sadiyon ke sangam par milne aaye hain - 2

Ek sadi ki shyaam jahan par ek sadi ka vahi savera
Samay na daale kahin bhi deraa

Ek samay lekin do sadiyaan, do sadiya

Beliebteste Lieder von Kavita Krishnamurthy

Andere Künstler von Indie rock