Raaz
Jo dard ko lafzo me kardu baya
Toh usse kuch seekhunga nahi
Jo khush hua toh andar hi andar
Mai haste hue dikhunga nahi
Jo darr se kadmo me aati haya
Toh gusse ko tokunga nahi
Jo dukh hua toh gaalo ke banjar
Mein aasu ye rokunga nahi
Hai mujhme laakho raaz
Jo karte rehte laakh aawaz
Ye jhoote chaalbaaz
Jo kadwe sach pe karte naaz
Kal the darte aaj
Kal hai rehta sarpe taaj
Mehel pe hai inka raaj
Kaate haath inpe na ilaaj
Mann me jo sawaal
Dikhte unke sau jawaab
Kardu woh bawaal
Ya pehenlu sau nakaab
Khaufnaak ye khayaal
Jinse hu behaal
Jab mai bekhayal
Krodh se ye hote laal
Roke haarta tha
Tab na jaanta tha
Nanhi jaan sa tha
Kitne rog paalta tha
Kaash jaan paata
Kaash inhe nakaar paata
Tha na koi tab mai
Inko apna maanta tha
Khafa tha khudse
Aaya tha jabse dharti pe
Kaha tha mujhse
Weak tu sabse
Darke sabse kalti le
Par ye buddhi bhalti hai
Sabse tez chalti hai
Apni khubiyo pe garv karke
Rooh bharti hai
Teri buddhi kal ki hai
Teri khudki galti hai
Samaaj ke vichaaro pe
Ishaaro pe machalti hai
Tu toh sukkhi machhli hai
Sirf jal me palti hai
Baahar aake Sahara ke
Dhoop me tu jalti hai
Jo dard ko lafzo me kardu baya
Toh usse kuch seekhunga nahi
Jo khush hua toh andar hi andar
Mai haste hue dikhunga nahi
Jo darr se kadmo me aati haya
Toh gusse ko tokunga nahi
Jo dukh hua toh gaalo ke banjar
Mein aasu ye rokunga nahi
Shauq toh hazaar
Par mai karta intezaar
Khudpe hai bharosa baitha itminaan se
Kaapti hai ungliyaan fir bhi likhti shaan se
Dhyaan se sunle baate meri dono kaan se
Aathvi se jaanta tha rooh nikli praan se
Jaan se saari baate khulke kehra hu
Paani jaisa behra hu
Kal bhi wohi baate kehne
Aaj sab mai sehra hu
Chehra hu dard ka
Fir bhi hasta hu mai kyuki
Khud hi mai dava hu apne marz ka
Karz tha
Mere sarpe mere sapno ka
Farz tha
Bhale saath chhoote apno ka
Khatro ka naamonishaan mita diya maine
Kabro ka pura intezaan bitha diya maine
Gaadne ko saare toot chuke khwaab
Jinke dukh behisaab
Jinpe rakh diya gulaab
Saathme jo mili seekh lajawaab
Waqt raat ka kharaab
Kal dikhega aaftaab
Na kitaab maine padhi koi aaj tak
Padhunga insaan mai toh jaan meri last tak
5 tak ginle tu mai toh ginunga 7 tak
Week mera strong kyuki hustle din se raat tak
Baat tak na karu mai kisise bhi
Kya karu mai jisise bhi hota close
Woh na jaane mera bojh
Mai toh karta khudki khoj
Jo dard ko lafzo me kardu baya
Toh usse kuch seekhunga nahi
Jo khush hua toh andar hi andar
Mai haste hue dikhunga nahi
Jo darr se kadmo me aati haya
Toh gusse ko tokunga nahi
Jo dukh hua toh gaalo ke banjar
Mein aasu ye rokunga nahi