Tumhen Dillagi Bhool Jaani Padegi
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
[Instrumental-break]
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Tadapane pe mere na phir tum hasoge
Tadapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
Tadapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se...
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
Tadapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Tumhe dillagi, dillagi, bhool jani padegi
Tumhe dillagi bhool jani padegi
Dillagi bhool jani padegi
Wafaon ki humse tawwaqo nahin hai
Magar ek baar aazamaa kar to dekho
Zamaney ko apanaa banaa kar to dekha
Hamey bhi tum apana banaa kar to dekho
Khuda ke liye chor do abb yeh parda
Ke hain aaj hum tum nahi ghair koi
Shab-e-vasl bhi hai hijaab iss khadr kyun
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho
Jafa'ein bahut ki bahut zulm Dhaye
Kabhi ek nigah-e-karam iss taraf bhi
Hamesha huey dekh kar mujh ko barham
Kisi din zara muskura kar to dekho
Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
Sataatey ho din raat jis tarah mujh ko
Kisi ghair ko yun sataakar to dekho
Agar'chey kisi baat per woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni sahi karlo
Woh maaney na-maaney yeh marzi hai unki
Magar unko ‘PURNAM' manaa kar to dekho