Apnaa Mujhe Tu Lagaa
anjaane ho tum jo, begane ho tum jo
pehchaane lagte ho kyun
tum ghehri neendon mein jab soye soye ho
to mujh mein jagte ho kyun
jab tujhko pata hai dil muskurata hai
kya tujh se hai waasta
kya tujhmein dhoondhoon main
kya tujhse chaahoon main
kya kya hai tujhmein mera
jaanu na main tujhmein mera hissa hai kya
par ajnabi apna mujhe tu laga
jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
par ajnabi apna mujhe tu laga
tujhse taluk jo nahi kuch mera
kyun tu lage hai apna sa
dekhoon jo tujhko ek nazar jaaye bhar
mujh mein hai mera jo khala
zindagi mein khushi tere aane se hai
warna jeene mein gham har bahaane se hai
yeh alag baat hai hum mile aaj hain
dil tujhe jaanta ek zamane se hai
jaanu na main tujhmein mera hissa hai kya
par ajnabi apna mujhe tu laga
jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
par ajnabi apna mujhe tu laga
aankhon ne aankhon se kahi dastaan
tumko banake raajdaan
baahon mein jannat aa gayi khushnuma
tum jo hue ho meharbaan
jism se jism ka yun taruf hua
ho gaye hum sanam rooh tak aashna
ek zara jo chale do kadam saath mein
mil gaya hai hamein zindagi ka pata