Shankara

Navin Tripathi, Manish Tripathi, Shivani Srivastava

Ommmm namah shivay
Om namah shivaya om namah shivay

Bhole nath shankara
Shambu nath shankara
Shankara shankara...

Tu basa hai har jagah
Kya akash kya dhara shankara

Shankaraaaaaa
Shankara

Teeno lok mein samaya
Parvato mein ghar basaya
Haath mein trishul le ke tu khada ....

Ganga hai jataon mein
Hai bhujang bahon mein
Kanth mein bhi vish bhara shankara

Shankara shankara

1) Srishti ke srijan se pehle Shakti thi tumhari
Ham ho ya ...na ho rahegi bhakti ye tumhari

Devon ke bhi dev Mahadev tum tridev ho
Iss lalat pe bhi ek drishti hai tumhari

Ye trinetra na khule
Kabhi aaye na pralay shankara

Dukh koi bhi na sahe
Bas teri kripa rahe
Shankara ..

2) Khaal singh ki hai tan pe haath mein... kamandal
Sheesh chandrama ke saath chamke ye mukh mandal

Itni hai saral ara... dhna Teri o Shankar
Jal chadhaye jo wo paaye manchaha sa phal
Jal chadhaye jo wo paaye manchaha phal

Tu toh bhola hai bada
Kya tujhe hai ye pata
Tere Prem ka nasha hame Chadha

Tera Naam hai bada Tera kaam hai bada Tera dhaam hai bada
O shankara

Shankaraaaa shankara

Wissenswertes über das Lied Shankara von Udit Narayan

Wer hat das Lied “Shankara” von Udit Narayan komponiert?
Das Lied “Shankara” von Udit Narayan wurde von Navin Tripathi, Manish Tripathi, Shivani Srivastava komponiert.

Beliebteste Lieder von Udit Narayan

Andere Künstler von Indie rock