Main Gaya Ji
Tu hi hai bas zindagi,
Tujhi mein lagta hai ji,
Ji gaya main jab dekha tujhe,
Bharke ji dekh lu par,
Dil ye bharta nahin mar jaun mudke jo tu dekhe mujhe, Main laga hun jeene ji,
Ho Ram ji, jeene ji, ho Ram ji main toh gaya hun ji.
Pee gaya hun poori jaise, par main toh peeta nahin, Main gaya ji.....Ho Ram ji.
Aaj rang bhi hain rangeen, titliyan jaise kahin, Dhoondti hain tujhko aise, tujhse hi hai rut haseen, Roshni tu har diye ki, baati sun jal rahi,
Phoolon ne bhi keh diya hai, khushboo teri hi basi, Main laga hun jeene ji,
Ho Ram ji, jeene ji, ho Ram ji main toh gaya hun ji.
Ek nazar kya chhod dun, tujhko dekhe jo har ghadi,
Par nazar lag jaaye na, keh nazar mujhse ladi,
Kya main de dun, dun bhi kaise, hai mera kuchh bhi nahi, Dil hi tha ik aasra bas, wo bhi ab milta nahi,
Main laga hun jeene ji,
Ho Ram ji, jeene ji, ho Ram ji main toh gaya hun ji,
Main gaya ji, main gaya ji,
Main gaya ji, main gaya ji,
Ji gaya ... ji gaya.