Jaaniya

Soham Naik, Shoaib Firozi

Tu hi to jeene ki wajah
Tu hi to saanson mein basa
Haan kehna hai ye sau martaba
Tu hi to mera khaab hai
Tu hi to dil ke paas hai
Kuch bhi nahi main tere bina
Tu hi to hai mera junoon
Tu hi to hai mera sukoon
Tere bin jeena jaise hai sazaa
Ohhh
Rang de mujhe apne rang mein oh jaaneya
Dil karta hai bas teri taraf dariyaan
Rang de mujhe apne rang mein oh jaaneya
Dil karta hai bas teri taraf dariyaan

Mann beqabu hone laga hai
Mujhpe jaadoo hone laga hai
Jaaneya maahiya
Oh mann beqabu hone laga hai
Mujhpe jaadoo hone laga hai
Jaaneya maahiya
Rahe jo mujhse tu khafa
Main khudse ho jaau judaa
Jaaneya maahiya
Aaine mein khudko nihaaru
Raat bhar bas aahein bharu
Haske tune jabse dekha hai
Tabse madhoshi mein rahu
Mannmarziyaan kare dil hoke bekaraar
Tu hi to hai mera junoon
Tu hi to hai mera sukoon
Tere bina jeena jaise sazaa
Ohhh
Rang de mujhe apne rang mein oh jaaneya
Dil karta hai bas teri taraf dariyaan
Oh rang de mujhe apne rang mein oh jaaneya
Dil karta hai bas teri taraf dariyaan

Wissenswertes über das Lied Jaaniya von सोहम नाइक

Wer hat das Lied “Jaaniya” von सोहम नाइक komponiert?
Das Lied “Jaaniya” von सोहम नाइक wurde von Soham Naik, Shoaib Firozi komponiert.

Beliebteste Lieder von सोहम नाइक

Andere Künstler von Film score