Har Kisi Ko (feat. Neeti Mohan)

Do lafz ki hai
Baat ek hi hai
Kyun darmiyaan phir ruki ruki
Keh bhi naa paayein
Reh bhi na paayein
Kyun bewajah hai, ye bebasi
Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahan pyar zindagi mein

Khush-naseeb hain hum
Jinko hai mili
Ye bahaar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyar zindagi mein

Pyar na ho toh zindagi kya hai
Yaar na ho toh bandagi kya hai

Tujh se hi har khushi hai
Tere dum se aashiqui hai, jaan le

Mill jaaye hum toh
Sab kuch sahi hai
Phir iss tarah kyun, hain ajnabi
Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyar zindagi mein

Haan kisi ko hi hai milta ye zindagi mein
Khushnaseeb hain jo hume mila zindagi mein
Woh ho (these lines are in Arijit's version only)

Tu mohabbat hai, Ishq hai mera
Ik ibaadat hai, saath ye tera

Jab dil se dil mile hain
Phir kyun ye faasle hain, iss tarah
Aa bol de tu, yaa bol du main
Kab tak chhupaayein ye bekhudi

Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyar zindagi mein

Khushnaseeb hain jo hume mila zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyar zindagi mein
Tu hai toh main hoon
Tu hai toh main
Tu hai toh main hoon
Tu hai toh main

Beliebteste Lieder von Arijit Singh

Andere Künstler von Film score