Itni Si Baat Hai (feat. Antara Mitra)

tere dar pe aake tham gaye
naina namaazi bann gaye
ek dooje mein yun dhal ke
aashiqana aayat ban gaye main aur tum

kaisi dil lagaai kar gaye
rooh ki rubaai bann gaye
khaali khaali dono thhe jo
thoda sa dono bhar gaye main aur tum

chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai

chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
mujhe tumse pyaar hai

lage na yeh dhoop zaroori
lage na yeh chaanv zaroori
milte hain ishq zameen par
ab do hi naam zaroori main aur tum

apna khuda bhi hoga
apna hi rab le lenge
khud ki bana ke duniya
ye zindagi jee lenge main aur tum

chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
mujhe tumse pyaar hai

ek tum, ek main, teeja maangu kya khuda se
dil doon, jaan doon, kya doon itna bata de
tera mera rishta hai saanson se bhi naazuk

tum sa, hum sa, koi duja na hoga na hua re
do dil sa ik seene mein hai jaise main aur tum
ab dono hum ik jeene mein hain jaise main aur tum

jaan se zyada chaha tumko piya re
harpal, hardum, humdum tumko jiya re

aaj saaf saaf kehta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai

chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
mujhe tumse pyaar hai

Beliebteste Lieder von Arijit Singh

Andere Künstler von Film score