Khuda Haafiz
beete lamhon ko phir se jeene ke liye
juda hona zaroori hai samjha kar
raat jitni bhi dilchasp ho saiyan
subah hona zaroori hai samjha kar
khuda hafiz ho mere yaara
mile ya na mile dobara
rahunga main sada tera
khuda haafiz ho mere yaara
safar bedard besahara
muhafiz ho khuda tera
daastaan teri meri kitni azeeb hai
paas tu nahi fir bhi sabse kareeb hai
khuda hafiz ho mere yaara
jo pal tere bin guzara hai
usme bhi nishaan tera
mite na mitaye ab yaar
meri aankhon se ye nami
har din har lamha yun gunjegi
diwron se teri kami
jab milenge dobara hum
kisi chauraahe pe phir kabhi
main pehchaan lunga tumko hai laazmi
khuda haafiz ho mere yaara
safar bedard besahara
adhoori reh gayi duya
doob kar sooraj ne mujhko
tanha kar diya
mera saaya bhi bichhda
mere dost ki tarah
doob kar suraj ne mujhko
tanha kar diya
mera saaya bhi bichhda
mere dost ki tarah
khuda hafiz ho mere yaara
mile ya na mile dobara
rahunga main sada tera
daastaan teri meri kitni azeeb hai
paas tu nahi, phir bhi sabse kareeb hai
khuda hafiz ho mere yaara
jo pal tere bin guzara hai
usme bhi nishaan tera