Shukr Tera (feat. Chinmayi Sripada)
hmm
kis tarah se shukar tera ab ada karoon main
is mohabbat ka harjaana kis tarah bharoon main
khaamosh reh kar bhi keh gaye
dariyaa saa dil tak beh gaye
tum par ho raha hai poora aitbaar
tum hi hifazat meri suno
yeh kaha hai rooh ne
kis tarah se shukar tera
ab ada karu main
ishq ka bas naam liya
maine samjha nahi tha isey
tune sikhaaya ki ye hai ibaadat
rooh ki bhaashaa hai ye
teri badaulat, paayi wo daulat
jo mili na mujh ko kaheen
jazbaat had se badhne lage
dene lagey ye sadaa tujhe
har pal hai zaroori ab tera deedaar
tum hi hifazat meri suno
yeh kaha hai rooh ne
kis tarah se shukar tera
ab ada karu main
aisa kabhi dekha nahi
na kabhi bhi kahin sunaa
dene waala sab de kar bhi keh raha hai shukriya
tune hi to samjhaa mujhe
jo na keh saka main, suno tumhein
ehsaan ye tera na bhoolunga sadaa
tum hi hifazat meri suno
yeh kaha hai rooh ne
kis tarah se shukar tera
ab ada karu main