Roobaroo

Mehraj Kazi, Murtuza Gadiwala

Maula mujhse tu mila de
Khud se tu raza de
Khoyi hoon mein ab yaha
Jeena seekha de

Anjaan yeh raasta
Ek adhoori daastan
Kuch zaroori zimmedaari
Kuch hai vaasta
Haan
Bhaari kandhe pe wazan hai
Koshish likhna ek bhajan hai
Maulvi ho jiske shabd
Raabta dil se seedha rab
Ajab gajab yeh shayari
Kalam kitaab ki hai yeh reeth
Mazhab se hoon main kalakaar
Kare ibadat yeh beat
Zapt waqt ko kar loon
Waqt se lad loon
Bhakt hoon main bhi maula
Maula ek nazar
Yaha mujhpe kar
Kar zara ujaala
Sapne dekha jab nadaan tha
Hakiqat se anjaan
Zakhm the par bezubaan tha
Kehta aakhir kisko maula
Raaz-e-dil bohot mushkil
Bheege takiye aansu se
Main khush tha
Par main tha shaamil
Tanha apne mehfil mein
Aa baat kar mulaqat kar
Hoon sahi disha ya bhatka
Kardu sadka khud ke naam par
Mujhse mujhe mila de maula
Pesh hai meri kawaali maula
Manzil ki talaash hai
Kash tujhse roobaroo hoon maula

Maula mujhse tu mila de Khud se tu raza de
Khoyi hoon mein ab yaha Jeena seekha de
Maula jeena seekha de Mujhse se tu mila de
Khoyi hoon mein ab yaha Aye roobaroo karade

Safed panno pe bayaan Hai dil ki aarzoo meri
Lakeer mere naseeb ki Kalam se haatho mein padhi Iss geet mein sukoon
Har ek shabd mein junoon Kavi hoon
Iss nacheez ki taarif
Sab ko hai malum
Maula aye parvardigar Kalakaar hua nisaar
Kala dhun hai meri
Chun ke maine
Pesh kiya upahaar
Sab ke saamne
Gava hai sab
Kuch aur nahi
Dua hai sab
Rukh rab ki aur
Pakadlu daur
Gar roobaroo karade mujhse

Maula mujhse tu mila de Khud se tu raza de
Khoyi hoon mein ab yaha Jeena seekha de

Beliebteste Lieder von Kimera

Andere Künstler von Middle of the Road (MOR)