Kabhi Khushi Kabhi Gham

Jatin Lalit / Sameer

Aa aa aa aa aa aa, kabhi khushi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham
Aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa aa

(Meri saanson mein tu hai samaaya
Mera jeevan to hai tera saaya) - 2
Teri pooja karoon main to har dam
Yeh hai tere karam, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham
Meri saanson mein tu hai samaaya
Mera jeevan to hai tera saaya
Teri pooja karoon main to har dam
Yeh hai tere karam, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham

Subh-o-shyaam charno mein diye hum jalaaye
Dekhe jahan bhi dekhe, tujhko hi paaye
Oh, subh-o-shyaam charno mein diye hum jalaaye
Dekhe jahan bhi dekhe, tujhko hi paaye
In labon pe tera bas tera naam ho - 2
Pyaar dil se kabhi bhi na ho kam
Yeh hai tere karam, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham

Yeh ghar nahin hai, mandir hai tera
Is mein sadaa rahe tera baseraa
Oh, yeh ghar nahin hai, mandir hai tera
Is mein sadaa rahe tera baseraa
Khushbuon se teri yeh mahekta rahe - 2
Aaye jaaye bhale koi mausam
Yeh hai tere karam, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham
(Meri saanson mein tu hai samaaya
Mera jeevan to hai tera saaya) - 2
Teri pooja karoon main to har dam
Yeh hai tere karam, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham

Aa aa aa aa aa aa, kabhi khushi kabhi gham
Na judaa honge hum, kabhi khushi kabhi gham

Wissenswertes über das Lied Kabhi Khushi Kabhi Gham von Lata Mangeshkar

Wer hat das Lied “Kabhi Khushi Kabhi Gham” von Lata Mangeshkar komponiert?
Das Lied “Kabhi Khushi Kabhi Gham” von Lata Mangeshkar wurde von Jatin Lalit und Sameer komponiert.

Beliebteste Lieder von Lata Mangeshkar

Andere Künstler von Film score