Koi Nahi Hain Phir Bhi Hain Mujhko
koee nahee hain fir bhee hain muz ko, kyaa jaane kisakaa intajaar
ye bhee naa jaanoo, laharaake aanchal kisako bulaaye baar baar
sochoo ye hai ungaliyaan kis ke pyaar kee
gaalon ko chhuye jo daalee bahaar kee
kaun hain aye hawaa, aye bahaar
paanee mein chhabee main dekhoo khadee khadee
baalon mein sajaa ke kaliyaan badee badee
fir banoo aap hee bekaraar
waadee mein nishaan mere hee paanw ke
foolon pe hain rang meree hee chhaanw ke
fir bhee kyon aaye naa ayetabaar