Meri Chhoti Si Bahan

geeta : meri chhoti si bahan dekho gahane pahan
sasuraal chali re ban than ke
haathon mein gajra akhiyon mein kajra
nakhare to dekho dulhan ke
meri chhoti si bahan ...

la : mera bhaiya hai deewana iski baaton mein na aana
jhoothi batiyaan banaaye ban ban ke
pagla hain mann se ye ghadi ghadi sanke
iske puraje hain dheele bachpan se
meri chhoti si bahan ...

geeta : sasuraal gayi to deedi ham ko bhi bhool jaaogi
wahaan jeeja ki mithaai kha kha kuppe si phool jaaogi
moti moti bahu ban phir bade bade rob dikhaaogi
na khilaaogi jo khana pet bharunnga
chori chori teri baatein sun ke
meri chhoti si bahan ...

la : bholi dekh ke mujhe boli bolate kyon akad akad ke
bach na paaoge re bachchu ham se yoon jhagad jhagad ke
ham jaanate hain tumhein tum gol gol dhol ho rabad ke
zara aane de bhaabhi ko seedha karegi kaan pakad ke
haan tere choohe jaise kaan pakad ke
paanv pakdoge tum naak ragdoge tum
meri chhoti si bahan ...

Beliebteste Lieder von Lata Mangeshkar

Andere Künstler von Film score