Fass Gaya

Aman Sagar, Mohak Kukreja

Kaisi ye mushkil mein
Dil mera fass gaya?
Jaanu na main jaanu na

Galti ye dil karein
Sehta hu main sazaa
Ye kaisa hai gunaah?

Main fass gaya
Main thakk gaya
Ye dawa ye seedha gatak gaya
Jo saalo se paala tha, saalon ka yaarana
Saanp tha mujhe wo dass gaya
Uchaai pe paucha achaanak se socha banaunga mera main ghar yahaa
Mahal sajaaya
Pariyo ko bulaya
Khilaya pilaaya
Machal gaya
Zaraa sa pyaasa
Toh dikha jab paani main muuh lagaake peeta jaata
Aur dheere dheere lagne lagta sab bhaari
Toh so mein jata
Bistar banaaya ye makhmal ka
Sone aur jaagne mein antar kya?
Khuli aankhein dekhe bhi tuta sapna

Kaisi ye mushkil mein
Dil mera fass gaya?
Jaanu na main jaanu na

Galti ye dil karein
Sehta hu main sazaa
Ye kaisa hai gunaah?

Ho gaya sarvanaash
Ho gaya parda faash
Main jo bhi kehta na jhoot
Iraade mazboot
Ye dil ki baat

Jeene ki kya hai vajah?
Bas har pal chahiye mazaa
Main aalas ka maara
Main thoda awaara
Ye dil nadaan
Toh mann hai bola ye dil ko
Ki thoda sa hoja kharaab
Ye duniya samaaj
Ye chaaku hai kaatenge peechhe se
Aage se banenge saaf
Na maan tu baat inki
Na chhod imaan
Par thoda badhaale tu swaarth
Na koi sikhaega pakdega haath
Ye jeeneke ka dhanda
Hai thoda sa gandaa
Toh baazi tu maar

Kaisi ye mushkil mein
Dil mera fass gaya?
(Dil mera fass)
Jaanu na main jaanu na
(Main jaanu na jaanu na)

Galti ye dil karein
Sehta hu main sazaa
(Yeye)
Ye kaisa hai gunaah?
(Ye dil naadaan)

Kaisi ye mushkil mein
Dil mera fass gaya?
Jaanu na main jaanu na

Galti ye dil karein
Sehta hu main sazaa
Ye kaisa hai gunaah?

(Ye dil naadaan)

Wissenswertes über das Lied Fass Gaya von Moha K

Wer hat das Lied “Fass Gaya” von Moha K komponiert?
Das Lied “Fass Gaya” von Moha K wurde von Aman Sagar, Mohak Kukreja komponiert.

Beliebteste Lieder von Moha K

Andere Künstler von Pop-rap