Khaabon Ke Parinday

Javed Akhtar Shankar, Loy Mendosa, Mahadevan Eh Saan Noorani

Udein, khule aasaman mein khwabon ke parindey
Udein, dil ke jahaan main khaabon ke parinday
Oho, kya pata, jaayenge kahaan
Khule hain jo par, kahe yeh nazar
Lagta hai ab hain jaage hum
Fikrein jo thi, peechhe reh gayi
Nikle unse aage hum
Hawaon mein beh rahi hai zindagi
Yeh hum se keh rahi hai zindagi
Oho, ab to, jo bhi ho so ho

Ude, khule aasaman mein khwabon ke parindey
Ude, dil ke jahaan mein khwabon ke parindey
Oho, kya pata, jayenge kahaan
Kisi ne chhua toh yeh hua
Phirte hain mehke mehke hum
Khoye hain kahin baatein nayi
Jab hain aise behke hum
Hua hai yoon ke dil pighal gaye
Bas ek pal mein hum badal gaye
Oho, ab to, jo bhi ho so ho

Roshni mili
Ab raah mein hai ek dilkashi si barsi
Har khushi mili
Ab zindagi pe hai zindagi si barsi
Ab jeena hum ne seekha hai
Yaad hai kal, aaya tha wo pal
Jisme jaadoo aisa tha
Hum ho gaye jaise naye
Woh kal jaane kaisa tha
Kahe yeh dil ki jaa udhar hi tu
Jahan bhi leke jaaye aarzoo
Oho, ab toh
Jo bhi ho so ho

Wissenswertes über das Lied Khaabon Ke Parinday von Mohit Chauhan

Wer hat das Lied “Khaabon Ke Parinday” von Mohit Chauhan komponiert?
Das Lied “Khaabon Ke Parinday” von Mohit Chauhan wurde von Javed Akhtar Shankar, Loy Mendosa, Mahadevan Eh Saan Noorani komponiert.

Beliebteste Lieder von Mohit Chauhan

Andere Künstler von World music