Dil Kahi Ka
Apni manmarzi chalaaye na sune yeh naspita, Na marham de, Na rahem de, ya toh pheekaa ya hain theekha
Koi toh bataaye sang rehene ka saleekha,
Gudgudaye phir rulaye ziddi saala Dil Kahi Ka
Majbooriyan thi yeh pagla na jaane mujhse kafa hain khamakha,
Zakhmo ko bharne mein waqt lage hain, itna na samjhe yeh muah
Main kaise mithaun jo taqdeer mein tha likha,
Bargalaye, Dil milaaye, Hain irada khudkhushi ka
Manmarzi chalaaye na sune yeh naspita, Na marham de,
Na rehem de, ya toh pheekaa ya hain theekha.
Bhikre Woh kisse, bharke lifafe, bheje pate pe, kyu pata nahi lapata
Bechainio ke odhe lihafe dum ghuth raha hain aur main dum hu khojta
Naya kya main bataun tu toh jaane saara kissa ya salah de ya saza de ya toh jhoota de dilasa
Manmarzi chalaaye na sune yeh naspita Na marham de,
Na rehem de, ya toh pheekaa ya hain theekha
Koi toh bataaye sang rehene Ka saleekha,
Gudgudaye phir rulaye Ziddi Saala Dil Kahi Ka, Ziddi Saala Dil Kahi Ka